2020 - Sunni Barelvi Hoo 💯

Advertisement Here

Monday, May 11, 2020

Huzoor ﷺ Ki 8 khubsurat piyari Adayein
May 11, 20200 Comments

ﺑِﺴْـــــــــــــﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ


Huzoor ﷺ Ki 8 Adayein

🌹Nabiye Kareem ﷺ Ki Har Ada Pyaari Hai Jin Mein Se 8 Ye Bhi Hain

(1) Jab Bhi Koi 🌹Aap ﷺ Ko Pukarta To Aap "Labbaik" Keh Kar Jawab Inayat Farmate.

(الشفاء، 121/1)

(2) Agar Koi Shakhs 🌹Aapke Kaan Mein Sargoshi Karta To Jab Tak Uski Baat Mukammal Na Ho Jaati  Aap ﷺ   Apna Sar Mubarak Usse Door Na Farmate.

(ایضاً)

(3) 🌹Aap ﷺ Majlis Mein Kabhi Paaon Phaila Kar Na Baithte.

(ایضاً)

(4) Jab Koi Mulaqat Ke Liye Aata To Baaz Awqaat Uske Liye    Aap ﷺ   Apni Chadar Bichha Dete Balki Apni Masnad Bhi Pesh Kar Diya Karte.

(ایضاً، 122/1)

(5) 🌹Aap ﷺ Sahaba -e- Kiraam Ko Unki Kunniyat Aur Pasandida Naamo Se Pukarte.

(ایضاً)

(6)🌹 Aap ﷺ Badi Waqaar Ke Saath Is Tarah Thehar Thehar Kar Guftagu Farmate Ke Agar Koi Aapke Jumlo Ko Ginna Chahta To Gin Sakta Tha.

(ایضاً، 139/1)

(7) 🌹Aap ﷺ Raftaar Ke Saath Jhuk Kar Yun Chala Karte The Goya Bulandi Se Utar Rahe Hain, Hazrat Abu Huraira Kehte Hain Ke Hum Rasoolullah ﷺ Ke Saath Chalne Mein Hanfne Lagte The.

(شمائل ترمذی، ص86)

(8) 🌹Aap ﷺ Khushbu Ka Tohfa Wapas Nahin Farmate Balki Farmate Ke Khushbu Ka Tohfa Rad Mat Karo Kyunki Ye Jannat Se Nikli Hai.

(ایضاً، ص130)

Reading Time:

Friday, May 8, 2020

Huzoor e Akram irshad farmate hain
May 08, 20200 Comments


بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Jumu'ah Special
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Huzoor e Akram irshad farmate hain

🛑Jisne mujh par jumu'ah ke din 200 baar durood padha uss ke 200
saal ke gunaah maaf ho jaaenge.

🛑Jumu'ah Eid ka din hai.

🛑Jumu'ah sab dino ka sardar hai.

📚Kanzul Ummal Vol 1, Page 206, Miraat Vol,2, Page 332.📚
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
HUZUR E AKRAM ﷺ ne farmaya Juma'a ke din ko ALLAH TA'ALA ne Musalmano ke liye Eid kiya, to jo Jumua'ah ko paae wo Nahaae aur khushbu ho to lagaae.

 📚 Ibne Maaja Sharif📚
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
HUZUR E AKRAM ﷺ ne farmaya Jo Jumua'ah ke din ya Raat me Surae Ad-Dukhaan Sharif padhega ALLAH TA'ALA Jannat me uske liye ek Ghar banaaega.

 📚 Al Mo'ajamul Kabir📚
➖➖➖➖➖➖➖➖➖
Reading Time:

Sunday, May 3, 2020

Roze Ke Makruhaat
May 03, 20200 Comments


"Roze Ke Makruhaat" (Jisse Roze Me Kaharat Aur Sawab Me Kami Hoti Hai)

✒HADEES:

Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Jo Roze Me Buri Baat Kehna Aur Uspe Amal Karna Na Chhode To Allah Pak Ko Uski Koi Parwa Nahi Ki Usne Khana Peena Chhod Diya Hai.
{صحیح البخاري، كتاب الصوم، باب من لم يدع قول الزور والعمل به في الصوم، ج-1، ص-228، الحديث-628}
✒HADEES:

Farmaya Allah Ke Pyare Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Roza Iska Naam Nahi Ki Khane Peene Se Baaz Rahe, Roze Me To Lagu (Bekar) Aur Behudah (Gandi) Baton Se Bacha Jaye.
{المستدرك، للحاكم، ج-2، ص-68، الحديث-1611}

✏MAS'ALA:

Jhoot, Geebat, Chugli, Gali, Dena, Gandi Baat, Kisi Ko Takleef Dena, Ye Chizen Waise Bhi Na-Jayez O Haram Hai Roze Me Aur Ziyadah Haram Hai Iski Wajah Se Roza Makrooh Hota Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-996}

✏MAS'ALA:

Roze Me Aurat Ka Bosa (Kiss) Lena Gale Lagana Aur Badan Chhuna Makrooh Hai Jab Ki Is Baat Kar Dar Ho Inzal (Mani) Ho Jayega, Ya Jima (Sex) Me Mubtela Hoga, Hont Aur Zaban Chusna Roze Me MUTLAQAN Makrooh Hai.
{ردالمحتار، كتاب الصوم، باب ما يفسد الصوم وما لا يفسده، مطلب: فيما يكره للصائم، ج-3، ص-454}

✏MAS'ALA:

Mooh Me Thook Jama Kar Ke Nigal Jana Bina Roze Ke Bhi Achchi Baat Nahi Aur Roze Me Kare To Makrooh Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-998}

✏MAS'ALA:

Sehri Khane Me Der Karna Aur Aftar Me Jaldi Karna Mustahab (Achcha) Hai Lekin Sehri Me Itni Der Karna Ki Subah Hone Ka Ka Shak Ho Makrooh Hai, Aur Aftar Us WAQT Kare Jab Guroob Ka Guman Ho (Suraj Doob Jane Ka Yaqeen Ho) Jab Tak Gumane Galib Na Ho Aftar Na Kare, Agarche Mo'azzan Ne Azan Keh Dee Ho, Aur Abar Ke Dino Me Aftar Me Jaldi Na Kare.
{Raddul Mohtar, Volume-3, Page-459}

✏MAS'ALA:

Rozedar Ko Kisi Chiz Ka Chakhna Aur Chabana Makrooh Hai, Chakhne Ke Liye Uzr (Majboori) Ye Hai Ki Kisi Aurat Ka Shohar Bad-Mizaj Ho Namak Kam O Besh Hoga To Naraz Hoga Is Wajah Se Chakhne Me Harj Nahi, Aur Chabane Ka Uzr Ye Hai Ki Itna Chota Bachcha Jo Ki Roti Nahi Kha Sakta Aur Koi Narm Giza Nahi Jo Use Khilai Ja Sake Aur Wahan Koi Be-Roza Nahi Jo Chaba Kar De To Us Bachche Ko Khilane Ke Liye Chaba Kar De Sakte Hain Isse Na Roza Tootega Na Makrooh Hoga.
{Durre Mukhtar, Volume-3, Page-453}
Aaj Kal Chakhna Is Tarah Samjha Jata Hai Ki Kisi Chiz Ka Maza Maloom Karne Ke Liye Thoda Sa Kha Liya Isse Roza Makrooh Nahi Balki Toot Hi Jayega. Chakhne Ka Ye Maana Hai Ki Zaban Pe Rakh Ke Maza Malum Kiya Aur Thook Diya Usme Ka Kuch Bhi HALAQ Me Na Jane Paye.

✏MAS'ALA:

Koi Chiz Kharidi Aur Uska Chakhna Zaroori Hai Agar Nahi Chakhega To NUQSAN Hoga To Chakhne Me Harj Nahi, Warna Bila Zarurat Chakhna Makrooh Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-997}
Reading Time:
Shajra-e-Tayyeba
Namastey Aur Namaskar In Dono Lafzo Ka Istemal Karna Kaisa Hai?
May 03, 20200 Comments


_*Namastey Aur Namaskar In Dono Lafzo Ka Istemal Karna Kaisa Hai?*_

📌 _*Sawal*_

_Kya Farmate Hain Ulama E Kiram Is Mas'ala Me K *Namastey* Aur *Namaskar* In Dono Lafzo K Kya Matlab Hote Hain?_
_Agar Koi Musalman Gair Muslim Se Mulaqaat K Waqt *Namastey* Aur *Namaskar* Jaise Lafz Kahe To Isper Shariyat Ka Kya Huqm Hai?_
_Agar Koi Musalman Aesi Jagah Noukri Karta Hai Jahan Per Ise In Lafzon Ka Istemal Karna Hi Padhta Hai To Aesi Jagah Noukri Karna Kaisa Hai?_
|===================|

✍ _*AlJawab*_
الجواب اللھم ھدایہ الحق الصواب
_Surat E Mas'ala Me Ye Tarika Sakht Haram Aur Ba Aetbar Kufr Hai._

💠 _Pehli Baat Ye Khas Hinduo Ka Mazhabi Sha'ar Hai Aur Kisi Kafir K Mazhabi Sha'ar Ko Qabool Karna Kufr Hai *Hadees Shareef* Me Hai K_
 من تشبہ بقوم فھو منھم
_Jo Kisi K Mazhabi Sha'ar (TareeKa) Ko Ikhtiyaar Kare Wo Inhi Me Se Hai._
_Namaste K Ma'ane (Meaning) Hain Me Tumhari Ta'azeem K Liye Jhukta Hu Ye Kis Qadar BeGairati Ki Baat Hai K Musalman Jise Allah Ne Islam Se Izzat Di Aur Islam K Badaulat Saare Jahan Se Mu'azziz Hai Wo ALLAH Azzawajal Aur Uske Rasool (Sallallaho Ta'ala Alaihi Wa Sallam) K Dushman Balki Apne Jaan O Maal K Dushman Ki Ta'azeem K Liye Jhuke._

💠 _Chunke Awaam Na Namaste K Ma'ane (Meaning)  Jante Hain Aur Na Hi Hath Jodne Ka Ma'ana (Meaning) Maloom Hai, Wo Ek Rasam Samajhkar_ _Hinduo Ko Khush Karne K Liyen Aesa Karte Hain Isliye In Per Huqm E Kufr Nahi Magar Gunahgaar Jarur Honge Aur Sakht Gunahgaar_
_Isliye Musalmano Per Wajib Hai K  Hinduo K Samne Hath Jodne Se Wa Namaste Kehne Se Parhez Karen._


💠 _Allah Azzawajal Musalmano Ko Islam Per  Sabit Qadmi Ata Farmaye Aur Kuffar Wa Mushrikeen K Tour Wa Tarike Se Bachne Ki Toufeeq Ata Farmaye Aameen Summa Aameen_

📗 *Bahawala Fatawa Sharah Bukhari, Jild Som, Safa 71*

➖☄➖☄➖☄➖☄➖

Reading Time:
Ek Baadsha Aur Gulam Ka Waqiya
May 03, 20200 Comments

ایک بادشاہ محل کی چھت پر ٹہلنے چلا گیا۔ ٹہلتے ٹہلتے اسکی نظر محل کے نزدیک گھر کی چھت پر پڑی جس پر ایک بہت خوبصورت عورت کپڑے سوکھا رہی تھی۔ 
بادشاہ نے اپنی ایک باندی کو بلا کر پوچھا: کس کی بیوی ہے یہ؟
باندی نے کہا: بادشاہ سلامت یہ آپ کےغلام فیروز کی بیوی ہے۔
بادشاہ نیچے اترا ، بادشاہ پر اس عورت کے حسن وجمال کا سحر سا چھا گیا تھا۔
اس نے فیروز کو بلایا۔ 
فیروز حاضر ہوا تو بادشاہ نے کہا : فیروز ہمارا ایک کام ہے۔ ہمارا یہ خط فلاں ملک کے بادشاہ کو دے آو اور  اسکا جواب بھی ان سے لے آنا۔ 
فیروز: اس خط کو لے کر گھر واپس آ گیا خط کو اپنے تکیے کے نیچے رکھ دیا، سفر کا سامان تیار کیا، رات گھر میں گزاری اور صبح منزل مقصود پر روانہ ہو گیا اس بات سے لاعلم کہ بادشاہ نے اس کے ساتھ کیا چال چلی ہے۔
ادھر فیروز جیسے ہی نظروں سے اوجھل ہوا بادشاہ چپکے سے فیروز کے گھر پہنچا اور آہستہ سے فیروز کے گھر کا دروازہ کھٹکھٹایا۔
فیروز کی بیوی نےپوچھا کون ہے؟
بادشاہ نے کہا: میں بادشاہ ہوں تمہارے شوہر کا مالک۔ 
تواس نے دروازہ کھولا۔ بادشاہ اندر آ کر بیٹھ گیا۔
فیروز کی بیوی نے حیران ہو کر کہا: آج بادشاہ سلامت یہاں ہمارے غریب خانے میں۔
بادشاہ نے کہا : میں یہاں مہمان بن کر آیا ہوں۔
فیروز کی بیوی نےبادشاہ کا مطلب سمجھ کر کہا: میں اللہ کی پناہ چاہتی ہوں آپکے اس طرح آنے سے جس میں مجھے کوئی خیر نظر نہیں آ رہی۔ 
بادشاہ نے غصے میں کہا: اے لڑکی کیا کہہ رہی ہو تم ؟ شاید تم نے مجھے پہچانا نہیں میں بادشاہ ہوں تمہارے شوہر کا مالک۔
فیروز کی بیوی نے کہا: بادشاہ سلامت میں جانتی ہوں کہ آپ ہی بادشاہ ہیں لیکن بزرگ کہہ گئے ہیں 
شیر کو اگرچہ جتنی بھی تیز بھوک لگی ہو لیکن وہ مردار تو نہیں کھانا شروع کر دیتا
اور کہا: بادشاہ سلامت تم اس کٹورے میں پانی پینے آ گئے ہو جس میں تمہارے کتے نے پانی پیا ہے۔
بادشاہ اس عورت کی باتوں سے بڑا شرمسار ہوا اور اسکو چھوڑ کر واپس چلا گیا لیکن اپنے چپل وہیں پر بھول گیا ۔
یہ سب تو بادشاہ کی طرف سے ہوا۔
اب فیروز کو آدھے راستے میں یاد آیا کہ جو خط بادشاہ نے اسے دیا تھا وہ تو گھر پر ہی چھوڑ آیا ہے اس نے گھوڑے کو تیزی سے واپس موڑا اور اپنے گھر کی طرف لپکا۔ فیروز اپنے گھر پہنچا تو تکیے کے نیچے سے خط نکالتے وقت اسکی نظر پلنگ کے نیچے پڑے بادشاہ کے نعال (چپل) پر پڑی جو وہ جلدی میں بھول گیا تھا۔ 
فیروز کا سر چکرا کر رہے گیا اور وہ سمجھ گیا کہ بادشاہ نے اس کو سفر پر صرف اس لیئے بیھجا تاکہ وہ اپنا مطلب پورا کر سکے۔ فیروز کسی کو کچھ بتائے بغیر چپ چاپ گھر سے نکلا۔ خط لے کر وہ چل پڑا اور کام ختم کرنے کے بعد بادشاہ کے پاس واپس آیا تو بادشاہ نے انعام کے طور پر اسے سو ١٠٠ دینار دیئے۔ فیروز دینار لے کر بازار گیا اور عورتوں کے استعمال کے قیمتی کپڑے اور کچھ تحائف بھی خرید دئیے۔ گھر پہنچ کر بیوی کو سلام کیا اور کہا چلو تمہارے میکے چلتے ہیں۔ 
بیوی نے پوچھا: یہ کیا ہے؟
کہا: بادشاہ نے انعام دیا ہے اور میں چاہتا ہوں کہ یہ پہن کر اپنے گھر والوں کو بھی دکھاو۔
بیوی : جیسے آپ چاہئیں، بیوی تیار ہوئی اور اپنے والدین کے گھر اپنے شوہر کے ساتھ روانہ ہوئی داماد اور بیٹی اور انکے لائے لائے گے تحائف کو دیکھ کر وہ لوگ بہت خوش ہوئے۔ 
فیروز بیوی کو چھوڑ کر واپس آ گیا اور ایک مہینہ گزرنے کے باوجود نہ بیوی کا پوچھا اور نہ اسکو واپس بلایا۔
پھر کچھ دن بعد اسکے سالے اس سے ملنے آئے اور اس سے پوچھا: فیروز آپ ہمیں ہماری بہن سے غصے اور ناراضگی کی وجہ بتائیں یا پھر ہم آپکو قاضی کے سامنے پیش کریں گئے۔
تو اس نے کہا: اگر تم چاہو تو کر لو لیکن میرے ذمے اسکا ایسا کوئی حق باقی نہیں جو میں نےادا نہ کیا ہو۔
وہ لوگ اپنا کیس قاضی کے پاس لے گئے تو قاضی نے فیروز کو بلایا۔
قاضی اس وقت بادشاہ کے پاس بیٹھا ہوا تھا۔ لڑکی کے بھائیوں نے کہا: اللّٰه بادشاہ سلامت اور قاضی القضاہ کو قائم و دائم رکھے۔ قاضی صاحب ہم نے ایک سر سبز باغ، درخت پھلوں سے بھرے ہوئے اور ساتھ میں میٹھے پانی کا کنواں اس شخص کے حوالے میں دیا۔ تو اس شخص نے ہمارا باغ اجاڑ دیا سارے پھل کھا لیئے، درخت کاٹ لئیے اور کنویں کو خراب کر کے بند کردیا۔ 
قاضی فیروز کی طرف متوجہ ہو کر پوچھا: ہاں تو لڑکے تم کیا کہتے ہو اس بارے میں؟
فیروز نے کہا: قاضی صاحب جو باغ مجھے دیا گیا تھا وہ اس سے بہتر حالت میں نے انہیں واپس کیا ہے۔
قاضی نے پوچھا: کیا اس نے باغ تمھارے حوالے ویسی ہی حالت واپس کیا ہے جیسے پہلے تھا؟
انہوں نے کہا : ہاں ویسے ہی حالت میں واپس کیا ہے لیکن ہم اس سے باغ واپس کرنے کی وجہ پوچھنا چاہتے ہیں۔
قاضی: ہاں فیروز تم کیا کہنا چاہتے ہو اس بارے؟
فیروز نے کہا: قاضی صاحب میں باغ کسی بغض یا نفرت کی وجہ سے نہیں چھوڑا بلکہ اسلیئے چھوڑا کہ ایک دن میں باغ میں آیا تو اس میں، میں نے شیر کے پنجوں کے نشان دیکھے تو مجھے خوف ہوا کہ شیر مجھے کھا جائے گا اسلیئے شیر کے اکرام کی وجہ سے میں نے باغ میں جانا بند کردیا۔
بادشاہ جو ٹیک لگائے یہ سب کچھ سن رہا تھا، اور اٹھ کر بیٹھ گیا اور کہا۔ فیروز اپنے باغ کی طرف امن اور مطمئن ہو کر جاو۔ واللہ اس میں کوئی شک نہیں کہ شیر تمھارے باغ آیا تھا لیکن وہ وہاں پر نہ تو کوئی اثر چھوڑ سکا ، نہ کوئی پتا توڑ سکا اور نہ ہی کوئی پھل کھا سکا وہ وہاں پر تھوڑی دیر رہا اور مایوس ہو کر لوٹ گیا اور خدا کی قسم میں نے کبھی تمھارے جیسے باغ کے گرد لگے مظبوط دیواریں نہیں دیکھیں۔
تو فیروز اپنے گھر لوٹ آیا اور اپنی بیوی کو بھی واپس لے لیا۔ نہ تو قاضی کو پتہ چلا اور نہ ہی کسی اور کو کہ ماجرا کیا تھا!!!

کیا خوب بہتر ہے اپنے اہل وعیال کے راز چھپانا تا کہ لوگوں کو پتہ نہ چلے
اپنے گھروں کے بھید کسی پر ظاہر نہ ہونے دو*

اللہ آپ لوگوں کو خوشیوں سے بھر دے آپکو، آپ کے اہل وعیال کو اور آپکے مال کو اپنے حفظ و امان میں رکھے. آمین اور ہاں سوچنا لازمی شکریہ دعاؤں میں یاد رکھنا.
Reading Time:

Saturday, May 2, 2020

Zakat ki Tareef
May 02, 20200 Comments

*"ZAKAT Ki Tareef"*

Allah Tala Ne Maldar Musalmano Ke Maal Me Se Eik Hissa Aapne Liye Muqarrar Farmaya Us Hisse Ka Musalman Faqeer Ko Malik Banana Zakat Kehlata Hai, Magar Wo FAQEER Na Hashmi Ho Na Uska Azad Kiya Hua Gulam, Aur Maale Zakat Me Se Apna Nafa Bilkul Juda Kar Le.

✏Mas'ala:

Zakat Farz Hai Uska Inkar Karne Wala Kafir, Aur Na Dene Wala Fasiq Aur Qatl Ka Mustahiq, Aur Dene Me Der Karne Wala Gunehgar, Aur Mardudushsha'hadah Hai. (Yani Agar Wo Kisi Mamle Me Gawahi De To Uski Gawahi Nahi Mani Jayegi)
{الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب الأول، جلد-1، صفحہ-170}

✏Mas'ala:

Zakat Me Malik Banana Zaroori Hai, Sirf Mubah Karne Se Zakat Ada Nahi Hogi, Masalan Faqeer Ko Zakat Ki Niyyat Se Khana Khilaya To Zakat Ada Na Hui Ki Malik Kar Dena Nahi Paya Gaya, Haan Agar Khana De Diya Chahe To Khaye Ya Le Jaye To Ada Ho Gai, Isi Tarah Zakat Ki Niyyat Se Kapda Diya Ya Pehnaya, To Ada Ho Gai.
{بهار شریعت، حصه-5، صفحہ-874}

✏Mas'ala:

Zakat Wajib Hone Ki Kuch Sharten Hain,

Musalman Hona.
AAQIL (AQL WALA) HONA.
BALIG HONA.
AZAD HONA.
MAAL KA NISAB KO PAHOCHNA AUR WO USKE MILK (QABZE) ME HONA.
Nisab Ka Den (Qarz) Se farig Hona.
Nisab Ka Hajate Asliya Se Farig Hona.
HAOLANE HAOL (Maal Pe Eik Saal Guzarna)
{Kutbe fiqah}

✏Mas'ala:

Jo Maal Girwi Rakha Gaya Uski Zakat Na Rakhne Wale Par Na Jiske Pas Rakha Uspe Na Utne Zamane Ki Jitne Zamane Wo Girwi Raha.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-877}

✏Mas'ala.
Koi Shakhs Qarazdar Hai Aur Qarza Chukane Ke Baad Uske Pas Nisab Ke Barabar Maal BAQI Nahi Rehta To Uspe Zakat Nahi.
{Fatawa Hindiya, Volume-1, Page-172}

✏Mas'ala:

Zakat 3 Hi Qism Ke Maal Par Hai.
Sona Chandi,
Tijarat Ka Maal,
Saymah Charai Pe Chute Huye Janwar.
(Kutbe Fiqh)

Reading Time:
Zakat Wajib Hone Ke Baad Bhi Takheer Karna
May 02, 20200 Comments


Zakat Wajib Hone Ke Baad Bhi Takheer Karna Ya Na Adaa Karna Allah Pak Ke Shakht Azab Ko Dawat Dena Hai, Aise Logon Ke Hawale Se Rab Ta'ala Irshad Farmata Hai,

Tarjamah-

Jo Log Sona Aur Chandi Jama Karte Hain Unhe Dardnak Azab Ki Khushkhabri Suna Do, Jis Din Jahannam Ki Aag Me Wo Tapaye Jayenge, Aur Unse Unki Peshaniyan Aur Karwaten Aur Peethe Dagi Jayengi Ye Woh Hai Jo Tum Ne Apne Nafs Ke Liye Jama Kiya Tha, To Ab Chakho Maza Us Jama Karne Ka.
{PARA-10, SURE TAUBAH AYAT-35}

Apne Malo Ki Zakat Na Dene Walo Par Kis Tarah Ka Azab Hoga Huzoor Nabiye Akram صلى الله تعالى عليه وسلم Ka Irshad Suniye.

✒HADEES:

Jo Sone Aur Chandi Ka Malik Ho Aur Uska HAQ Ada Na Kare To Jab Qayamat Ka Din Hoga Uske Liye Aag Ke Pattar Banaye Jayenge,
Unpar Jahannam Ki Aag Bhadkai Jayegi, Aur Unse Uski Karwat Aur Peshani Aur Peeth Daagi Jayegi, Jab Thande Hone Par Ayge Phir Waisa Hi Kiya Jayega. Ye Mamla Us Din Ka Hai Jiske Eik Din Ki MIQDAR 50000 Saal Hai (Qayamat Ka Din) Aur Oonton Ke Bare Me Farmaya Jayega Jo Uska HAQ Ada Nahi Karta Qayamat Ke Din Use Eik Khule Maidan Me Litaya Jayega Aur Wo Oont Mote Mote Hoke Aayenge Aur Use Pairon Se Kuchlenge Aur Danton Se Katenge, Jab Oonton Ki Jamat Khatm Hogi To Phir Gaye (Cow) Aur Bakriyan Aayengi Aur Apne Seengon Se Maregi Aur Khuron Se Rondegi.
{صحيح البخاري، كتاب الزكاة، باب زكاة البقر، جلد-1، صفحہ-492، الحديث 1460}

✒Hadees:

Huzoore Akram صلى الله تعالى عليه وسلم Farmate Hain, Jo Qaum Zakat Ada Nahi Karti Wo Qahet Me Mubtela Hogi (Tarah Tarah Ki Bimariyan Aasmani Afaten Khuskh Saali Wo Deegar Masayeb)
المعجم الأوسط، جلد-3، صفحہ-276، الحديث-4577.

✒Hadees:

Hazrat Umar Farooq رضى الله تعالى عنه Se Riwayat Hai Huzoore Pak صلى الله تعالى عليه وسلم Ka Irshade Aali Hai,
Jo Maal Kushki (Zameen Pe) Aur Tari (Pani Me) Talf (Barbad) Hota Hai Wo Zakat Na Dene Se Talf Hota Hai.
?الترغيب والترهيب، كتاب الصدقات، الترهيب من منع الزكاة، جلد-1، صفحہ-308، الحديث-16

Zakat Na Ada Karne Ke Azaab Aur Zillaten Huzoor Nabiye Akram Noore Mujassam Fakhre Adam O Bani Adam صلى الله تعالى عليه وسلم Ke Irshadaat Ki Roshni Me Padhiye,

✒Hadees:

Faqeer Hargiz Nange Bhooke Hone Ki Takleef Na Othayenge Magar Maal Daron Ke Hathon, To Aye Maldaro Sun Lo, Allah Tum Se Sakht Hisab Lega Aur Dardnak Azab Dega.
?الترغيب والترهيب، كتاب الصدقات، جلد-2، صفحہ-275، رقم الحدیث-5.

✒Hadees:

Dozakh Me Sab Se Pehle 3 Shakhs Jayenge Unme Ka Eik Wo Maaldar Jisne Apne Maal Me Se Allah Ka HAQ Ada Nahi Kiya.
? صحیح ابن خزيمة، كتاب الزكاة، باب ذكر إدخال مانع الزكاة النار.....إلخ، جلد-4، صفحہ-8، الرقم الحديث-2249.

✒Hadees:

Sahi Sanad Se Ye Hadees Hazrat Abdullah Bin Masood رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Marwi Hai Farmate Hain, Hame Hukm Hua Namaz Padhen Zakat Den, Jisne Zakat Nahi Dee uski Namaz Qubool Nahi.
?المعجم الكبير، جلد-10، صفحہ-103، الرقم الحديث-10095.

✒Hadees:

Hazrat Abu Hurairah رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Eik Martaba Huzoor صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Khutba Padha Aur Farmaya, Qasam Hai Uski Jiske Hath Me Meri Jaan Hai, isko 3 Baar Farma Kar Sar Ko Jhuka Liya, To Hum Sab Ne Sar Jhuka Ke Rona Shuru Kiya, Hame Ye Nahi Maloom Huzoor Ne Qasam Kyu Khai, Phir Huzoor Ne Apna Sare Mubarak Uthaya To Chehre Par Khushi Ke Aasar Jhalak Rahe The, To Hame Ye Baat Laal Oont Se Ziyadah Pyari Maloom Hui, Aap صلى الله تعالى عليه وسلم Ne Farmaya, Jo Bandah 5 WAQT Ki Namaz Padhta Hai, Ramzan Ka Rozah Rakhta Hai Aur Zakat Deta Hai, Aur 7 Bade Gunaho Se Bachta Hai Uske Liye Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hain Aur Hukm Hota Hai Salamti Ke Saath Dakhil Ho Ja.
سنن النسائي، كتاب الزكاة، باب وجوب الزكاة، صفحہ-399، الرقم الحديث-2435

✒Hadees:

Hazrat ALQUMA Kehte Hain Huzoor Ne Farmaya, Tumhare Islam Ka Pura Hona Ye Hai ki Apne Malon Ki Zakat Do.
?مجمع الزوائد، كتاب الزكاة، باب فرض الزكاة، جلد-3، صفحہ-198، الرقم الحديث-4326.

✒Hadees:

Hazrat Abdullah Ibne Umar رضی اللہ تعالٰی عنہ Se Riwayat Hai Farmaya Allah Ke Rasool صلى الله تعالى عليه وسلم Ne,
Jo Allah O Rasool Pe Imam Laya, Wo Apne Maal Ki Zakat Ada kare, Jo Allah O Rasool Pe iman Laya Wo HAQ Bole Ya Chup Rahe Lekin Buri Baat (Gali/Galoch/jhagda) Zaban Se Na Nikale, Jo Allah O Rasool Pe iman Laya Wo Apne Mehman Ki Izzat Kare.
?المعجم الكبير، جلد-12، صفحہ-324، الرقم الحديث-13561.

In Tamam Muqadsas Irshadat Ko Padhne Ke Baad Bhi Koi Kum Naseeb Zakat Ki Ahmiyat Ko Nahi Samjhega, Aur Apne Maal Ko Burai Se Azab Se Paak Na Karega To Us Badbakht Ka Kya Ilaj?

Kis Qadar Afsos Ka MAQAM Hai Ki Is paak Mahine Me Kitne Musalman Aise Hain Jinke Ghar Chulha Nahi Jalta Aur Koi To Wo Hai Jiske Paas Rakhne Ki Jagah Nahi Magar use YE TAUFEEQ Nahi Ki Un Garibon Nadaron Mufliso Ki Khabar Le.

Aaj Arab Mamalik Me Daulat Ki Rel Pel Hai Aur Barre Sageer Me Lakhon Musalman Bhukmari Ke Shikar Hain Imaan O Islam Ke Baland O Bala Naare Lagane Wale Kabhi Inki Bhi Khabar Le.

Hum Musalman Hain Hamara Har Farz Se Bada Farz Allah O Rasool Ke Faraman Ke Aage Sar Kham Karna Hai Hame Musfliso Nadaron Garib Yateem Bewa Bekas Lachar Musalmano Ki Khabar Leni Chahiye Insha'Allah Ispe Amal Hua To Amaan Hi Amaan Qayam Hoga.

✒Hadees:

2 Aurten Huzoor Ki Khidmat AQDAS Me Hazir Hui'n, Unke Haton Me Sone Ke Kangan The, Huzoor Ne Irshad Farmaya Kya Tum Inki Zakat Ada Karti Ho ?
Arz ki Nahi,
Aapne Farmaya Kya Tum Pasand Karti Ho Ki Allah Tume Aag Ke Kangan Pehnaye ?
Arz Ki Nahi,
Farmaya To Zakat Ada karo.
{جامع الترمذي، أبواب الزكاة، باب ما جاء في زكاةالحلی، جلد-2، صفحہ-132. الرقم الحديث-637}
Reading Time:
Zakat o fitra ke Masail
May 02, 20200 Comments


✏Mas'ala:

Apni Asal (Jinke Awlad Me Se Ye Hain) Maa, Baap, Dada, Dadi, Nana, Nani, Inse Upar Jitne Hain Inhe Zakat Nahi De Sakta.
Isi Tarah Apni Fara (Iski Awlad Me Jo Hain) Jaise Beta, Beti, Pota, Poti, Nawasa, Nawasi, Aur Inse Niche Jitne Hain Ko Zakat Nahi De Sakta.
Isi Tarah Sadqae Fitr O Nazr O Kaffarah Bhi Unhe Nahi De Sakta.
Raha Nafli Sadqa To Wo De Sakta Hai Balki Behtar Yahi Hai Ki Inhe Hi De.
?ردالمحتار، كتاب الزكاة، باب المصرف، جلد-3، صفحہ-344.

✏Mas'ala:

Bahu Damad Soteli Maa Sotele Baap Ya Biwi Apne Shohar Ki Dusri Awlado Ko Ya Shohar Apni Biwi Ki Dusri Awladon Ko (Jo Isse Na Ho) Aur Rishtedaron Ko Zakat De Sakta Hai.
?ردالمحتار، كتاب الزكاة، باب المصرف، جلد-3، صفحہ-344.

✏Mas'ala:

Aurat Shohar Ya Shohar Aurat Ko Zakat Nahi De Sakte, Haan Talaqe Mugallazah (3-Talaq) Ho Chuki Aur Iddat Puri Ho Gai To Ab De Sakte Hain.
?الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب السابع في المصارف، جلد-1، صفحہ-189.

✏Mas'ala:

Sahetmand Tandurust Ko Zakat De Sakte Hain Agarche Wo Kamane Ki Taqat Rakhta Ho, Magar Sawal Karna Use Jayez Nahi.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-929}

✏Mas'ala:

Jiski Maa Sayyadani (Bani Hashim Se) Ho Magar Baap Sayyed Nahi Aise Ko Zakat De Sakte Hain, Shariat Me Nasab Baap Se Hai Maa Se Nahi.
?بهار شریعت، بیان. مال زکاة كے مصارف، حصه-5، صفحہ-931.

✏Mas'ala:

Zakat Aur Sadqat Me Afzal (Behtar) Ye Hai Ki Pehle Apne Bhaiyon Behno Ko De, Phir Unki Awlad Ko, Phir Chacha Phuphiyon Ko Phir Unki Awlad Ko, Phir Mamu Khala Ko Phir Unki Awlad Ko, Phir Dusre Rishtedaron Ko, Phir Padosiyon Ko, Phir Apne Pesha Walo Ko Phir Apne Shaher Ya Gaon Walo Ko.
?الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب السابع في المصارف، جلد-1، صفحہ-190...
Reading Time:
*GAANA (SONGS) SUNNA KAISA*
May 02, 20200 Comments

*GAANA (SONGS) SUNNA KAISA*

:: *SAWAL*:::

Bahot sare gaano me kufriya kalemat hote hain jo musalmano ke gharo me TV ya DVD mobile par bahot shauq se bajaye jate hain aur bahot se log us gane se jaane ya anjane khush ho kar maza uthate hain
aur kuch log ye jaante huye bhi sunte hain aur unhe samjhao to bolte hain ki "kya hua? ek gaana hi to hai"

▪️ teri puja karu, tujhe sajda karu..[MA’AZALLAH]

▪️ ban gaye ho tum mere khuda.. [MA’AZALLAH]

▪️ khuda bhi asman se jab zamin par dekhta hoga mere mehboob ko kisne banaya sochta hoga ...( kufr_ is sher me kam az kam 5 kufriyat hain

▪️ tujh me rab dikhta hai…[MA’AZALLAH ]

▪️ om shanti om 1 hasino ko aate hain kya kya bahane khuda bhi na jane to hum kaise jane [MA'AZALLAH] (is gaane me Ma'azAllah ye kaha gaya hai ke khuda bhi nahi janta) MA'AZALLAH..

▪️ sabse bada tera nara, shero wali bigri banade…[MA’AZALLAH]



▪️ jab dekhta hoga iska matlab hai ke Allah har waqt nahi dekhta..

▪️ kisne banaya ye bhi Allah ko nahi maalum..

▪️ is behaya ke mehboob ko allah ne nahi banaya..

▪️ sochta hoga..

▪️ khuda asman se dekhta hoga _ halanke Allah makan aur simt se paak hai..

▪️ rab ne mujh par sitam kiya hai sare jahan ka gam mujhe de diya hai (is sher me ye kufr hai ke Ma'azAllah rab ne mujh par zulm kiya hai _ Allah ko zalim keh raha hai jo ke sarih kufr hai)

▪️ patthar ke sanam tujhe hum ne mohbbat ka khuda jana badi bhul huyi are hum ne ye kya samjha ye kya jana ( kufr _ is sher me patthar ke boot ko Ma'azAllah khuda mana gaya hai)

▪️ tujhko di surat pari si, dil tujhe nahi diya, milta khuda to puchta ye zulm tune kyu kiya...( kufr _ is sher me Ma'azAllah khuda ko zalim kaha gaya hai )

▪️ meri nigah me kya banke aap rehte hain, qasam khuda ki khuda banke aap rehte hain... ( kufr _ is sher me Ma'azAllah gaire khuda ko khuda kaha gaya hai)

▪️ kisi patthar ki murat se mohbbat ka irada hai, parastish ki tamanna hai ibadat ka iraada hai... (kufr _ is sher me patthar ke boot ki puja ki tamanna aur niyyat ka ka izhar hai jo ke khula kufr hai)…[MA’AZA LLAH]
Shadio ke mauke par musalmano ke yaha bajaye jate hain, aur aurte usme naach gaan karti hain sab sunte hain aise logo ke liye shari’at me kya hukam hai..???

::: *AL JAWAB*:::

Awwal to ye ki gaana gun gunana aur use dil laga kar sunna dil ko murda kar deta hai, upar se music ke saath ye kaam haram ho jata hai. kanzul ummal ki hadees me dil laga kar gane sunne walo ke bare me aaya hai ki unke kaan me shishe pighlaye jayenge.
Upar bataye gaye tamam gaane aur nagme aur uske jaise dusre bhi tamam na'jayez aur haram hain. aur is tarah ke gane sunne wale aur is tarah ki mehfil sajane wale sakht gunehgar aur ayse logo par e’alaniya tauba wa istighafar zaroori hai (kyunki gunah sab ke samne huwa hai). aur usme kuch gane kufr ke nazdeek aur kuch gane pure kufriya hain. agar ayse gane Nauzubillah kisi ne gungunaye tou unko tuaba ke saath saath phir se kalma aur nikah karna hukm ho jayega.
Fatawa e Razwiyya me hai ki jisne hinduo ke saath jay jay pukara (jaisa ki jay ram chandr ji, jay sita wagaira) tou woh kafir ho gaya, uski bibiya uske nikah se nikal gayi, un par lazim hai ki tauba kare aur phir se kalma padhe aur apni biwiyo se phir se nikah kare..

[Fatawa e Razwiyyah, Part 6, Page No. 50]

ALLAH Ta'ala Humein Apne haal pr Reham krne aur Haram kaamon balke uske zariyyo se aur Jahannam ki aag se najaat ata farmaye. (Aameen)
Reading Time:

Wednesday, April 29, 2020

Noor-ul-Irfan (Kanz ul Imaan) 1
NA CHEDO ZIRK E JANNAT  NAAT LYRICS
April 29, 20200 Comments

NA CHEDO ZIRK E JANNAT



NAAT LYRICS



Na chedo zirk e jannat ab Madinah yaad aya hai
Nabi ka sabz Gumbad dil ki aankhaon me samaya hai

Mila karti hai mooh maange muradein Unke Rauze par
Ghulamau ne Tere Dar se jo maanga hai woh paya hai

Khuda ki Sultanat ke Tum ho Dulha Ya Rasoolullah
Tumhare waaste RABB ne yeh A’alam sajaya hai

Shabe Asra Mubarak baad dee yeh hooraun ne
Muhammed ko Khuda e Pak ne Dulha banaya hai

Namazaun me Azaan me Kalmah me aur Arsh par har ja
Khuda ne naam Tera naam se apne milaya hai

Zameen ko cheerte daude huwe aae hai khidmat me
Darakhtaun ne isharah Aapka jis waqt paya hai

Tumhari zaat par kyun kar bharosa ho na alam ko
Gunah-garaun ko Tumne naar e dozakh se bachaya hai

Ijabat ne liya bosah Tumhare pyare hotaun ka
Dua ke waaste jis waqt Tum ne lab hilaya hai

Koee pur saane haal apna nahi hai Ya Rasoolullah
Jo apna hai to Tu hai aur baqi sab paraya hai

Sana e Mustafa woh bhi rawayat e sahiha se
Jameele Qadri kya khoob tere paas maya hai
Reading Time:
Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya Naat Lyrics
April 29, 20200 Comments

Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya Naat Lyrics




Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya,
Lamey Batin Me Gumne Jalway Jahir Gaya.



Teri Maji Pa Gaya Suraj Bhi Fira Ulate Kadam,
Teri Ungali Uth Gai Mah Ka Kaleja Chir Gaya.

Badh Chali Teri Jiya Andher Aalm Se Ghata,
Khul Gaya Desoo Tera Rahmat Ka Badal Se Ghata Gaya.

Bandh Gai Teri Hawa Sawa Me Khak Udane Lagi,
Badh Chali Teri Jiya Aatis Pe Pani Phir Gaya.

Teri Rahmat Se Safiyullah Ka Beda Par Tha,
Tere Sadake Se Najiyullah K Bajara Tar Gaya.

Teri Aamad Thi Ki Baitullah Mujare Ko Zuka,
Teri Haibat Thi Ki Har But Thar Thara Kar Gir Gaya.



Momin Unaka Kya Huaa Allah Uska Ho Gaya,
Kafir Un Se Kya Phira Allah Hi Se Phir Gaya

Wo Ki Is Dar Ka Huaa Khalke Khuda Us Ki Hui,
Wo Ki Is Dar Se Phir Allah Us Se Phir Gaya.

Mujko Deewana Batate Ho Main To Wp Husyaar Hu,
Paanw Jab Taife Haram Me Thak Gae Sar Phir Gaya.

Ramatul Lil Aalmi Aafat Me Hun Kaisi Karun,
Mere Muala Main To Is Dil Me Bala Se Ghir Wo.

Main Tere Hatho Ke Sadake Kaisi Kakriya Thi Wo,
Jin Se Itane Kafiro Ka Dafaatan Munh Phir Gaya.

Kyun Janabe Bu Huraira Thaw O Kaisa Jaame Shir,
Jis Se Sattar Shahibo Ka Dugha Se Munh Phir Gaya

Wasta Pyare Ka Esa Ho Ki Jo Sunny Mare,
Yu Na Farmaey Tere Shahid Ki Wo Fajir Gaya.

Ars Par Dhoome Machi Wo Momine Shaleh Mila,
Fars Se Matam Uthe Wo Tayyeb-O Tahir Gaya.

Allah Allah Ye Uluey Khas Abdiyyat Raza,
Banda Milne Ko Karib Hajrate  Kadirgaya.

Thokare Khate Firoge Unke Dar Par Pad Raho,
Kafila To E Raza Awwal Gaya Aakhir Gaya.

Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya

Lamey Batin Me Gumne Jalway Jahir Gaya.
Reading Time:
PAANI PEENE KI SUNNATE AUR AADAAB
April 29, 20200 Comments

Aao Sunnate Nabwi Seekhe

〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️
      🍶 *PAANI PEENE KI SUNNATE AUR AADAAB:*

1. Bismillah Sharif padh ke piye.

2. Thanda Paani peena Sunnat hai.

3. Paani 3 saans me peena sunnat hai, Aur saans bartan ke baahar li jaaye.

4. Paani baith kar piye, Khade hokar hargiz na piye.

5. Qible rukh kar ke peena sunnat hai.

6. Kaanch ke bartan me paani peena sunnat hai,Iska matlab ye nahi ke dhaat ke bartan me nahi pi sakte.

7. Paani achhi tarah dekh ke peena.

8. sone chaandi k bartan me khaana peena Aag ko apne Pet me daakhil karne ke baraabar hai.

9. Ondhe Muh hokar kutte ki tarah bartan me muh daal ke peena mana hai.

10. Glaas me paani itna hi lo Jitna peena ho, Agar bach bhi jaye to phenko na balke kisi bartan me rakh lo.

11. Paani pehle sab ko pilaao, Sab se aakhiri me khud piyo.

12. Choos ke piye, Bade bade Ghoont na piye.

13. Sar ko Dhaank kar pina Sunnat hai.

14. Paani peete hue Ahtiyaat kare ke neeche na tapke.

15. Peene ke baad Alhamdulillah kahe.

16. HUZOOR (Sallallahu Taala Alaihi Wasallam) ne Paani seedhe hath se piye.

17. Kaanch, Mitti, Taambe aur Lakdi ke bartano me paani nosh farmaaya.
〰〰〰〰〰〰〰
Reading Time:
Aa Dil Mein Tujhay Rakh Loon Naat Lyrics
April 29, 20200 Comments
Aa Dil Mein Tujhay Rakh Loon Naat Lyrics

Bay Khud Kiye Detay Hain, Andaaz E Hijabana
Aa Dil Mein Tujhay Rakh Loon, Aie Jalwa E Janana

Kyun Aankh Milayi Thi, Kyun Aag Lagayi Thi
Ab Rukh Ko Chupa Baithay, Ker Kay Mujhay Deewana.

Jee Chahata Hai Touhfay Mein Behjoun Main Unhein Aakhein
Kay Darshan Ka To Darshan Ho, Nazranay Ka Nazrana.

Kyun Aankh Milayee Thi, Kyoon Aag Lagayee Thi
Ab Rukh Ko Chupa Baitha Kar Key Mujhay Dewana.

Peenay Ko To Pee Loun Ga Per Arz Zara Si Hai
Kay Ajmer Ka Saaqi Ho, Baghdad Ka Maikhana.

Bedam Meri Kismat Mein Sajday Hain Usi Ghar Kay
Chota Hai Na Choutay Ga Sang E Dar E Janana.
Reading Time:
QADRI AASTANA SALAMAT RAHE NAAT LYRICS
April 29, 20200 Comments


QADRI AASTANA SALAMAT RAHE NAAT LYRICS




Qadri Aastana Salaamath Rahe ,
Mustafa Ka Gharana Salaamath Rahe
Pal Rahe Hain Jahaan Se Ye Dono Jahaan ,
Wo Saaqi Aastana Salaamath Rahe

Dard Mandon Sar Par Hai Saya Figan ,
Aap Ka Shahmiyana Salaamath Rahe

Tum Se Mansoob Hai Zindagi Ka Nisaab ,
Hashr Tak Ye Fasana Salaamath Rahe

Ye Nakirain Bole Mujhe Qabr Main
Mustafa Ka Dewana Salaamath Rahe

Hukum Tha Ke Aada Ho Namazein Pachas ,
Aapka Aana Jana Salaamath Rahe

Jisne Ta’aseer Ki Khatm-e-Ta’aseer Ki,
Wo Nabi Ka Deewana Salamat Rahe

Jinke Chehre The Ghumgeen Khush Hogaye,
Aapka Muskurana Salaamath Rahe

Etrat-E-Fatima Par UJAGAR Nisar,
Syeda Ka Gharana Salaamath Rahe
Reading Time:
jo ho chuka hai jo hoga huzoor jante hain naat lyrics
April 29, 20200 Comments
jho chuka hai jo hoga huzoor jante hain naat lyrics



Jo ho chuka hai jo hoga huzoor jante hen
Teri aata say Khudaya huzoor jaante hen

Khuda ko dekha nahin aur eik maan liya
Ke jantay thay sahaba huzoor jantay hein



Munafiqoon ka aqeeda woh gaibdaan nahin
Aur sahabiyoon ka aqeeda huzoor jantay hen

Aie ilm e ghaib kay munkir Khuda ko dekha hai?
Aur tujhay bhi kehna padega huzoor jante hen

Khabar bhi hai? ke khabar sabki hai unhein kab say
Ke jab na ab tha na kab tha huzoor jante hen

Kai unke haath mein kya kya tujhe khabar na mujhe
Khuda nay kitna nawaza huzoor jante hen

Woh mominoon ki to janoon say bhi kareeb huye
Kahan say kisnay pukara huzoor jante hen



Isiliye to sulaya hai apne pehlu mein
Ke yaar e ghar ka rutba huzoor jante hen

Umar nay tan say juda kar diya tha sar jis ka
Woh apna hai ke paraya huzoor jante hen

Nabi ka faisla na maan kar woh jaan say gaya
Mizaaj Umar ka hai kaisa huzoor jante hen

Wohi hai paikar e sharm o haiya o zul nuraian
Maqaam unki haya ka huzoor jante hen

Hen jiske moula huzoor uske hen Ali moula
Abu Turab ka rutba huzoor jante hen

Yeh khud shaheed hen betay nawasay potay shaheed
Ali ki shaan e yagana huzoor jante hen

Main unki baat karoon yeh nahin meri auqaat
Ke shaan e Fatma Zahra huzoor jante hen

Jina mein kaun hen sardaar nojawanoon kay
Hasan Hussain ke nana huzoor jante hen

Malaika ne kiya youn to sajda Adam ko
Dar asal kis ko tha sajda huzoor jante hen

Kahan marein gay Abu Jahal o Utba o Sheiba
Ke Jang e Badr ka naqsha huzoor jante hen
Reading Time:
Munawwar Meri Aankhon ko Naat Lyrics
April 29, 20200 Comments


Munawwar Meri Aankhon ko Naat Lyrics

Munawwar meri aankhon ko

Mere Shamso-dduha kardey

Gamon ki dhup mein woh

Sayae zulfe dutaa kardey



Jahan-bani ata karde

Bhari jannat hiba kardey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jisko jo chahain ata karde



Jahan mein unki chalti hai

Wo dam mein kya se kya kardein

Zameen ko aasman karde

Surayya ko sara karde



Faza main udne wale yhun

Na itraaein nidaa kardey

Wo jab chahain jise chahain

Use farmaan-rawa kardey

Nabi se jo hai be-gaana

Use dil se juda kardey

Pidar Madar Biradar

Jaano maal un par fida kardey



Suraka ko bhi sone key to

Woh kangan ata kardey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jisko jo chahain ata karde



Ata karde bula kar dey

Bitha kar de utha kar dey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jaise jab chahe ata kardey



Jahan mein aam paygam e shahe

Ahmad Raza kardey

Palat kar pichhe dekhey

Fir se Tajdeed e wafa kardey



Khataein karne wala main

Ataein karne wale aap

Mere Aaqa mere haq main

Ise dastur saa kardey



Khayale hazrate Hassan sey

Ham naatein sajate hain

Kami reh jaaye to puree

Bareli ke Raza kardey



Muje kiya fikr ho Akhtar

Mere yaawar hain woh yaawar

Bala ho oh meri jo khud

Giriftare balaa karde



Tamannae dil e Ashraf

Bas itni hai sare Kausar

Jab Aaqa jame kausar dey

Labe Akdas laga kar dey
Reading Time:

Saturday, April 25, 2020

Hadees Sharif ( Ramazan )
April 25, 20200 Comments


Hadees e Mubaraka #2189


بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai Rasool e Kareem ﷺ ne irshad farmaya, 

"Jab Ramzaan ka mahina shuru hota hai to aasmaan ke darwaze khol diye jaate hai. Aur ek riwayat mein hai ki jannat ke darwaze khol diye jaate hai, aur jahannam ke darwaze bandh kar diye jaate hai aur shaitaan zanjeero mein jakad diye jaate hai."

Bukhari Shareef.

Reading Time:
Ramzan Hadees sharif
Sahri Ka Nayab Tohfa
Madina sharif ( image )

Saturday, April 11, 2020

Walidain ko Nasihat
April 11, 20200 Comments

محترم والدین و سرپرست                             


بچے آپکی نصیحت سے نہیں، آپکے عمل سے سیکھتے

 〰〰〰〰〰〰🌹〰〰〰〰〰〰

 آپکے بچے آپ کو گھر میں موبائل میں زیادہ مشغول دیکھتے ہیں یا قرآن میں؟*



 فلموں سے دل بہلاتا دیکھتے ہیں یا ذکر اللّٰہ سے؟*



 فجر پر اٹھتا دیکھتے ہیں یا دیر تک سوتا؟*



 نمازوں کا پابند دیکھتے ہیں یا لاپرواہ؟*



 دوسروں کی غیبت کرتا دیکھتے ہیں یا تعریف؟*



نوکروں سے بدتمیزی، حقارت، اور بد اخلاقی سے پیش آتا دیکھتے ہیں یا سب کو عزت دیتا ہوا؟*



رشتہ داروں کا خیال رکھتے اور صلہ رحمی کرتا دیکھتے ہیں یا بات بات پر تعلق توڑتا ہوا؟*



اکثر خوش مزاج اور مسکراتا ہوا دیکھتے ہیں یا لڑتا جھگڑتا اور اکھڑا مزاج؟*



 ہر وقت مال کی حرص میں مبتلا دیکھتے ہیں یا قناعت کرتے؟*



 ہر وقت لاحاصل کے غم میں دیکھتے ہیں یا حاصل شدہ کے شکر میں؟*



 آپ کو محنت اور جدوجھد کرتا دیکھتے ہیں یا سست، کاہل، بہانے باز اور کام چور؟*



 اپنی شریک حیات کے ساتھ محبت، عزت، اور بھلائی کا رویہ دیکھتے ہیں یا جھگڑے، حقارت اور بے رغبتی کا؟*



آپکو اپنے ماں باپ کی خدمت، فرمانبرداری، اور تکریم کرتا دیکھتے ہیں یا ان سے بدتمیزی اور بے اکرامی کرتا؟*



آپ کو سیگریٹ، پان، یا کوئی اور نشہ کرتا دیکھتے ہیں یا ورزش اور دیگر صحت مند سرگرمیوں میں؟*



 آپکا ہر عمل آپکی اولاد بغور دیکھ رہی ہے*



آپکی ہر عادت انکی شخصیت کا حصہ بن رہی ہے*



 آپ زبان سے لاکھ نصیحت کرلیں، اگر خود اچھی مثال قائم نہیں کریں گے تو اولاد صحیح راہ پر نہیں آئے گی*



 اس لئے اپنے لئے نہیں تو بچوں کی دنیا و آخرت کی خاطر، اپنی اصلاح پر توجہ دیں*



 اور اپنی اولاد کیلئے ایک بہترین مثال بنی
Reading Time:

Muhammad sadique razvi

Sunni Barelvi Hoo 💯

Islamic website ( Sunni aqeede walo ke liye )
( Muhammad sadique razvi )

Advertisement ke liye contact kare

sadiqueraza.sr@gmail.com