Zakat ki Tareef - Sunni Barelvi Hoo 💯

Advertisement Here

Saturday, May 2, 2020

Zakat ki Tareef


*"ZAKAT Ki Tareef"*

Allah Tala Ne Maldar Musalmano Ke Maal Me Se Eik Hissa Aapne Liye Muqarrar Farmaya Us Hisse Ka Musalman Faqeer Ko Malik Banana Zakat Kehlata Hai, Magar Wo FAQEER Na Hashmi Ho Na Uska Azad Kiya Hua Gulam, Aur Maale Zakat Me Se Apna Nafa Bilkul Juda Kar Le.

✏Mas'ala:

Zakat Farz Hai Uska Inkar Karne Wala Kafir, Aur Na Dene Wala Fasiq Aur Qatl Ka Mustahiq, Aur Dene Me Der Karne Wala Gunehgar, Aur Mardudushsha'hadah Hai. (Yani Agar Wo Kisi Mamle Me Gawahi De To Uski Gawahi Nahi Mani Jayegi)
{الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب الأول، جلد-1، صفحہ-170}

✏Mas'ala:

Zakat Me Malik Banana Zaroori Hai, Sirf Mubah Karne Se Zakat Ada Nahi Hogi, Masalan Faqeer Ko Zakat Ki Niyyat Se Khana Khilaya To Zakat Ada Na Hui Ki Malik Kar Dena Nahi Paya Gaya, Haan Agar Khana De Diya Chahe To Khaye Ya Le Jaye To Ada Ho Gai, Isi Tarah Zakat Ki Niyyat Se Kapda Diya Ya Pehnaya, To Ada Ho Gai.
{بهار شریعت، حصه-5، صفحہ-874}

✏Mas'ala:

Zakat Wajib Hone Ki Kuch Sharten Hain,

Musalman Hona.
AAQIL (AQL WALA) HONA.
BALIG HONA.
AZAD HONA.
MAAL KA NISAB KO PAHOCHNA AUR WO USKE MILK (QABZE) ME HONA.
Nisab Ka Den (Qarz) Se farig Hona.
Nisab Ka Hajate Asliya Se Farig Hona.
HAOLANE HAOL (Maal Pe Eik Saal Guzarna)
{Kutbe fiqah}

✏Mas'ala:

Jo Maal Girwi Rakha Gaya Uski Zakat Na Rakhne Wale Par Na Jiske Pas Rakha Uspe Na Utne Zamane Ki Jitne Zamane Wo Girwi Raha.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-877}

✏Mas'ala.
Koi Shakhs Qarazdar Hai Aur Qarza Chukane Ke Baad Uske Pas Nisab Ke Barabar Maal BAQI Nahi Rehta To Uspe Zakat Nahi.
{Fatawa Hindiya, Volume-1, Page-172}

✏Mas'ala:

Zakat 3 Hi Qism Ke Maal Par Hai.
Sona Chandi,
Tijarat Ka Maal,
Saymah Charai Pe Chute Huye Janwar.
(Kutbe Fiqh)

No comments:

Share zarur Kare💯

Muhammad sadique razvi

Sunni Barelvi Hoo 💯

Islamic website ( Sunni aqeede walo ke liye )
( Muhammad sadique razvi )

Advertisement ke liye contact kare

sadiqueraza.sr@gmail.com