PAANI PEENE KI SUNNATE AUR AADAAB - Sunni Barelvi Hoo 💯

Advertisement Here

Wednesday, April 29, 2020

PAANI PEENE KI SUNNATE AUR AADAAB


Aao Sunnate Nabwi Seekhe

〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️
      🍶 *PAANI PEENE KI SUNNATE AUR AADAAB:*

1. Bismillah Sharif padh ke piye.

2. Thanda Paani peena Sunnat hai.

3. Paani 3 saans me peena sunnat hai, Aur saans bartan ke baahar li jaaye.

4. Paani baith kar piye, Khade hokar hargiz na piye.

5. Qible rukh kar ke peena sunnat hai.

6. Kaanch ke bartan me paani peena sunnat hai,Iska matlab ye nahi ke dhaat ke bartan me nahi pi sakte.

7. Paani achhi tarah dekh ke peena.

8. sone chaandi k bartan me khaana peena Aag ko apne Pet me daakhil karne ke baraabar hai.

9. Ondhe Muh hokar kutte ki tarah bartan me muh daal ke peena mana hai.

10. Glaas me paani itna hi lo Jitna peena ho, Agar bach bhi jaye to phenko na balke kisi bartan me rakh lo.

11. Paani pehle sab ko pilaao, Sab se aakhiri me khud piyo.

12. Choos ke piye, Bade bade Ghoont na piye.

13. Sar ko Dhaank kar pina Sunnat hai.

14. Paani peete hue Ahtiyaat kare ke neeche na tapke.

15. Peene ke baad Alhamdulillah kahe.

16. HUZOOR (Sallallahu Taala Alaihi Wasallam) ne Paani seedhe hath se piye.

17. Kaanch, Mitti, Taambe aur Lakdi ke bartano me paani nosh farmaaya.
〰〰〰〰〰〰〰

No comments:

Share zarur Kare💯

Muhammad sadique razvi

Sunni Barelvi Hoo 💯

Islamic website ( Sunni aqeede walo ke liye )
( Muhammad sadique razvi )

Advertisement ke liye contact kare

sadiqueraza.sr@gmail.com