Zakat o fitra ke Masail - Sunni Barelvi Hoo 💯

Advertisement Here

Saturday, May 2, 2020

Zakat o fitra ke Masail



✏Mas'ala:

Apni Asal (Jinke Awlad Me Se Ye Hain) Maa, Baap, Dada, Dadi, Nana, Nani, Inse Upar Jitne Hain Inhe Zakat Nahi De Sakta.
Isi Tarah Apni Fara (Iski Awlad Me Jo Hain) Jaise Beta, Beti, Pota, Poti, Nawasa, Nawasi, Aur Inse Niche Jitne Hain Ko Zakat Nahi De Sakta.
Isi Tarah Sadqae Fitr O Nazr O Kaffarah Bhi Unhe Nahi De Sakta.
Raha Nafli Sadqa To Wo De Sakta Hai Balki Behtar Yahi Hai Ki Inhe Hi De.
?ردالمحتار، كتاب الزكاة، باب المصرف، جلد-3، صفحہ-344.

✏Mas'ala:

Bahu Damad Soteli Maa Sotele Baap Ya Biwi Apne Shohar Ki Dusri Awlado Ko Ya Shohar Apni Biwi Ki Dusri Awladon Ko (Jo Isse Na Ho) Aur Rishtedaron Ko Zakat De Sakta Hai.
?ردالمحتار، كتاب الزكاة، باب المصرف، جلد-3، صفحہ-344.

✏Mas'ala:

Aurat Shohar Ya Shohar Aurat Ko Zakat Nahi De Sakte, Haan Talaqe Mugallazah (3-Talaq) Ho Chuki Aur Iddat Puri Ho Gai To Ab De Sakte Hain.
?الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب السابع في المصارف، جلد-1، صفحہ-189.

✏Mas'ala:

Sahetmand Tandurust Ko Zakat De Sakte Hain Agarche Wo Kamane Ki Taqat Rakhta Ho, Magar Sawal Karna Use Jayez Nahi.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-929}

✏Mas'ala:

Jiski Maa Sayyadani (Bani Hashim Se) Ho Magar Baap Sayyed Nahi Aise Ko Zakat De Sakte Hain, Shariat Me Nasab Baap Se Hai Maa Se Nahi.
?بهار شریعت، بیان. مال زکاة كے مصارف، حصه-5، صفحہ-931.

✏Mas'ala:

Zakat Aur Sadqat Me Afzal (Behtar) Ye Hai Ki Pehle Apne Bhaiyon Behno Ko De, Phir Unki Awlad Ko, Phir Chacha Phuphiyon Ko Phir Unki Awlad Ko, Phir Mamu Khala Ko Phir Unki Awlad Ko, Phir Dusre Rishtedaron Ko, Phir Padosiyon Ko, Phir Apne Pesha Walo Ko Phir Apne Shaher Ya Gaon Walo Ko.
?الفتاوى الهندية، كتاب الزكاة، الباب السابع في المصارف، جلد-1، صفحہ-190...

No comments:

Share zarur Kare💯

Muhammad sadique razvi

Sunni Barelvi Hoo 💯

Islamic website ( Sunni aqeede walo ke liye )
( Muhammad sadique razvi )

Advertisement ke liye contact kare

sadiqueraza.sr@gmail.com