Roze Ke Makruhaat - Sunni Barelvi Hoo 💯

Advertisement Here

Sunday, May 3, 2020

Roze Ke Makruhaat



"Roze Ke Makruhaat" (Jisse Roze Me Kaharat Aur Sawab Me Kami Hoti Hai)

✒HADEES:

Huzoor صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Jo Roze Me Buri Baat Kehna Aur Uspe Amal Karna Na Chhode To Allah Pak Ko Uski Koi Parwa Nahi Ki Usne Khana Peena Chhod Diya Hai.
{صحیح البخاري، كتاب الصوم، باب من لم يدع قول الزور والعمل به في الصوم، ج-1، ص-228، الحديث-628}
✒HADEES:

Farmaya Allah Ke Pyare Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Roza Iska Naam Nahi Ki Khane Peene Se Baaz Rahe, Roze Me To Lagu (Bekar) Aur Behudah (Gandi) Baton Se Bacha Jaye.
{المستدرك، للحاكم، ج-2، ص-68، الحديث-1611}

✏MAS'ALA:

Jhoot, Geebat, Chugli, Gali, Dena, Gandi Baat, Kisi Ko Takleef Dena, Ye Chizen Waise Bhi Na-Jayez O Haram Hai Roze Me Aur Ziyadah Haram Hai Iski Wajah Se Roza Makrooh Hota Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-996}

✏MAS'ALA:

Roze Me Aurat Ka Bosa (Kiss) Lena Gale Lagana Aur Badan Chhuna Makrooh Hai Jab Ki Is Baat Kar Dar Ho Inzal (Mani) Ho Jayega, Ya Jima (Sex) Me Mubtela Hoga, Hont Aur Zaban Chusna Roze Me MUTLAQAN Makrooh Hai.
{ردالمحتار، كتاب الصوم، باب ما يفسد الصوم وما لا يفسده، مطلب: فيما يكره للصائم، ج-3، ص-454}

✏MAS'ALA:

Mooh Me Thook Jama Kar Ke Nigal Jana Bina Roze Ke Bhi Achchi Baat Nahi Aur Roze Me Kare To Makrooh Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-998}

✏MAS'ALA:

Sehri Khane Me Der Karna Aur Aftar Me Jaldi Karna Mustahab (Achcha) Hai Lekin Sehri Me Itni Der Karna Ki Subah Hone Ka Ka Shak Ho Makrooh Hai, Aur Aftar Us WAQT Kare Jab Guroob Ka Guman Ho (Suraj Doob Jane Ka Yaqeen Ho) Jab Tak Gumane Galib Na Ho Aftar Na Kare, Agarche Mo'azzan Ne Azan Keh Dee Ho, Aur Abar Ke Dino Me Aftar Me Jaldi Na Kare.
{Raddul Mohtar, Volume-3, Page-459}

✏MAS'ALA:

Rozedar Ko Kisi Chiz Ka Chakhna Aur Chabana Makrooh Hai, Chakhne Ke Liye Uzr (Majboori) Ye Hai Ki Kisi Aurat Ka Shohar Bad-Mizaj Ho Namak Kam O Besh Hoga To Naraz Hoga Is Wajah Se Chakhne Me Harj Nahi, Aur Chabane Ka Uzr Ye Hai Ki Itna Chota Bachcha Jo Ki Roti Nahi Kha Sakta Aur Koi Narm Giza Nahi Jo Use Khilai Ja Sake Aur Wahan Koi Be-Roza Nahi Jo Chaba Kar De To Us Bachche Ko Khilane Ke Liye Chaba Kar De Sakte Hain Isse Na Roza Tootega Na Makrooh Hoga.
{Durre Mukhtar, Volume-3, Page-453}
Aaj Kal Chakhna Is Tarah Samjha Jata Hai Ki Kisi Chiz Ka Maza Maloom Karne Ke Liye Thoda Sa Kha Liya Isse Roza Makrooh Nahi Balki Toot Hi Jayega. Chakhne Ka Ye Maana Hai Ki Zaban Pe Rakh Ke Maza Malum Kiya Aur Thook Diya Usme Ka Kuch Bhi HALAQ Me Na Jane Paye.

✏MAS'ALA:

Koi Chiz Kharidi Aur Uska Chakhna Zaroori Hai Agar Nahi Chakhega To NUQSAN Hoga To Chakhne Me Harj Nahi, Warna Bila Zarurat Chakhna Makrooh Hai.
{Bahar-E-Shariat, Hissa-5, Page-997}

No comments:

Share zarur Kare💯

Muhammad sadique razvi

Sunni Barelvi Hoo 💯

Islamic website ( Sunni aqeede walo ke liye )
( Muhammad sadique razvi )

Advertisement ke liye contact kare

sadiqueraza.sr@gmail.com