Hadees Sharif - Sunni Barelvi Hoo 💯

Advertisement Here

Friday, March 27, 2020

Hadees Sharif



_Hadees e Mubaraka #2120_
_21 Jumadal Ukhra 1441 Hijri.

*بسم الله الرحمن الرحيم*
*الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ï·º*

Hazrat e Anas Bin Malik رضي الله عنه se riwayat hai Aapne farmaya Huzoor Nabi e Kareem ﷺ jalwagar huwe aur ek baagh mein tashreef le gaye, ek sahab haazir huwe aur darwaze par dastak di Huzoor e Akram ﷺ irshad farmate haiñ Aye Anas!utho aur unke liye darwaza kholo aur unhe jannat ki aur mere baad khilafat ki basharat suna do. Maiñe arz kiya Yaa RasoolAllah! ﷺ kya maiñ unhe yeh bhi bata du ke Aapne yeh baat irshad farmayi hai? RasoolAllah ﷺ ne ijazat ataa farmayi jabh maiñe darwaza khola toh Hazrat e Abu Bakr Siddique رضي الله عنه tashreef farma hai maiñe unse kaha Aapke liye Jannat ki khushkhabri hai aur Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ke baad khilafat ki khushkhabri hai. Phir darwaze par dastak huwi RasoolAllah ﷺ ne irshad farmaya Aye Anas! utho aur unke liye darwaza kholo aur unhe Jannat ki khushkhabri suna do aur Abu Bakr Siddique ke baad unko khilafat ki basharat suna do. Maiñe arz kiya Yaa RasoolAllah! ﷺ kya yeh bhi bata du ke Aapne yeh baat irshad farmayi hai?
RasoolAllah ﷺ ne ijazat ataa farmayi jabh maiñe darwaza khola toh Hazrat e Umar Farook e Aazam رضي الله عنه tashreef farma hai, maiñe arz ki aapke liye jannat ki aur Hazrat Abu Bakr Siddique رضي الله عنه ke baad khilafat ki khushkhabri hai. Phir ek martaba darwaze par dastak huwi, Huzoor Nabi e Kareem ﷺ ne irshad farmaya Aye Anas! utho aur darwaza khol do aur unhe jannat ki aur Hazrat Umar Farook e Aazam رضي الله عنه ke baad khilafat ki basharat suna do aur yeh bhi basharat suna do ke woh shaheed hone wale hai, jabh maiñ bahar nikla toh dekha Hazrat e Usman e Gani رضي الله عنه tashreef farma hai.


*#Kanzul Amal Fazaail Zun Noorain Usman Bin Affan, Hadees No. 36267.*

No comments:

Share zarur Kare💯

Muhammad sadique razvi

Sunni Barelvi Hoo 💯

Islamic website ( Sunni aqeede walo ke liye )
( Muhammad sadique razvi )

Advertisement ke liye contact kare

sadiqueraza.sr@gmail.com