April 2020 - Sunni Barelvi Hoo 💯

Advertisement Here

Wednesday, April 29, 2020

Noor-ul-Irfan (Kanz ul Imaan) 1
NA CHEDO ZIRK E JANNAT  NAAT LYRICS
April 29, 20200 Comments

NA CHEDO ZIRK E JANNAT



NAAT LYRICS



Na chedo zirk e jannat ab Madinah yaad aya hai
Nabi ka sabz Gumbad dil ki aankhaon me samaya hai

Mila karti hai mooh maange muradein Unke Rauze par
Ghulamau ne Tere Dar se jo maanga hai woh paya hai

Khuda ki Sultanat ke Tum ho Dulha Ya Rasoolullah
Tumhare waaste RABB ne yeh A’alam sajaya hai

Shabe Asra Mubarak baad dee yeh hooraun ne
Muhammed ko Khuda e Pak ne Dulha banaya hai

Namazaun me Azaan me Kalmah me aur Arsh par har ja
Khuda ne naam Tera naam se apne milaya hai

Zameen ko cheerte daude huwe aae hai khidmat me
Darakhtaun ne isharah Aapka jis waqt paya hai

Tumhari zaat par kyun kar bharosa ho na alam ko
Gunah-garaun ko Tumne naar e dozakh se bachaya hai

Ijabat ne liya bosah Tumhare pyare hotaun ka
Dua ke waaste jis waqt Tum ne lab hilaya hai

Koee pur saane haal apna nahi hai Ya Rasoolullah
Jo apna hai to Tu hai aur baqi sab paraya hai

Sana e Mustafa woh bhi rawayat e sahiha se
Jameele Qadri kya khoob tere paas maya hai
Reading Time:
Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya Naat Lyrics
April 29, 20200 Comments

Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya Naat Lyrics




Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya,
Lamey Batin Me Gumne Jalway Jahir Gaya.



Teri Maji Pa Gaya Suraj Bhi Fira Ulate Kadam,
Teri Ungali Uth Gai Mah Ka Kaleja Chir Gaya.

Badh Chali Teri Jiya Andher Aalm Se Ghata,
Khul Gaya Desoo Tera Rahmat Ka Badal Se Ghata Gaya.

Bandh Gai Teri Hawa Sawa Me Khak Udane Lagi,
Badh Chali Teri Jiya Aatis Pe Pani Phir Gaya.

Teri Rahmat Se Safiyullah Ka Beda Par Tha,
Tere Sadake Se Najiyullah K Bajara Tar Gaya.

Teri Aamad Thi Ki Baitullah Mujare Ko Zuka,
Teri Haibat Thi Ki Har But Thar Thara Kar Gir Gaya.



Momin Unaka Kya Huaa Allah Uska Ho Gaya,
Kafir Un Se Kya Phira Allah Hi Se Phir Gaya

Wo Ki Is Dar Ka Huaa Khalke Khuda Us Ki Hui,
Wo Ki Is Dar Se Phir Allah Us Se Phir Gaya.

Mujko Deewana Batate Ho Main To Wp Husyaar Hu,
Paanw Jab Taife Haram Me Thak Gae Sar Phir Gaya.

Ramatul Lil Aalmi Aafat Me Hun Kaisi Karun,
Mere Muala Main To Is Dil Me Bala Se Ghir Wo.

Main Tere Hatho Ke Sadake Kaisi Kakriya Thi Wo,
Jin Se Itane Kafiro Ka Dafaatan Munh Phir Gaya.

Kyun Janabe Bu Huraira Thaw O Kaisa Jaame Shir,
Jis Se Sattar Shahibo Ka Dugha Se Munh Phir Gaya

Wasta Pyare Ka Esa Ho Ki Jo Sunny Mare,
Yu Na Farmaey Tere Shahid Ki Wo Fajir Gaya.

Ars Par Dhoome Machi Wo Momine Shaleh Mila,
Fars Se Matam Uthe Wo Tayyeb-O Tahir Gaya.

Allah Allah Ye Uluey Khas Abdiyyat Raza,
Banda Milne Ko Karib Hajrate  Kadirgaya.

Thokare Khate Firoge Unke Dar Par Pad Raho,
Kafila To E Raza Awwal Gaya Aakhir Gaya.

Banda Milne Ko Kareeb Hazrat E Qadir Gaya

Lamey Batin Me Gumne Jalway Jahir Gaya.
Reading Time:
PAANI PEENE KI SUNNATE AUR AADAAB
April 29, 20200 Comments

Aao Sunnate Nabwi Seekhe

〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️〰️
      🍶 *PAANI PEENE KI SUNNATE AUR AADAAB:*

1. Bismillah Sharif padh ke piye.

2. Thanda Paani peena Sunnat hai.

3. Paani 3 saans me peena sunnat hai, Aur saans bartan ke baahar li jaaye.

4. Paani baith kar piye, Khade hokar hargiz na piye.

5. Qible rukh kar ke peena sunnat hai.

6. Kaanch ke bartan me paani peena sunnat hai,Iska matlab ye nahi ke dhaat ke bartan me nahi pi sakte.

7. Paani achhi tarah dekh ke peena.

8. sone chaandi k bartan me khaana peena Aag ko apne Pet me daakhil karne ke baraabar hai.

9. Ondhe Muh hokar kutte ki tarah bartan me muh daal ke peena mana hai.

10. Glaas me paani itna hi lo Jitna peena ho, Agar bach bhi jaye to phenko na balke kisi bartan me rakh lo.

11. Paani pehle sab ko pilaao, Sab se aakhiri me khud piyo.

12. Choos ke piye, Bade bade Ghoont na piye.

13. Sar ko Dhaank kar pina Sunnat hai.

14. Paani peete hue Ahtiyaat kare ke neeche na tapke.

15. Peene ke baad Alhamdulillah kahe.

16. HUZOOR (Sallallahu Taala Alaihi Wasallam) ne Paani seedhe hath se piye.

17. Kaanch, Mitti, Taambe aur Lakdi ke bartano me paani nosh farmaaya.
〰〰〰〰〰〰〰
Reading Time:
Aa Dil Mein Tujhay Rakh Loon Naat Lyrics
April 29, 20200 Comments
Aa Dil Mein Tujhay Rakh Loon Naat Lyrics

Bay Khud Kiye Detay Hain, Andaaz E Hijabana
Aa Dil Mein Tujhay Rakh Loon, Aie Jalwa E Janana

Kyun Aankh Milayi Thi, Kyun Aag Lagayi Thi
Ab Rukh Ko Chupa Baithay, Ker Kay Mujhay Deewana.

Jee Chahata Hai Touhfay Mein Behjoun Main Unhein Aakhein
Kay Darshan Ka To Darshan Ho, Nazranay Ka Nazrana.

Kyun Aankh Milayee Thi, Kyoon Aag Lagayee Thi
Ab Rukh Ko Chupa Baitha Kar Key Mujhay Dewana.

Peenay Ko To Pee Loun Ga Per Arz Zara Si Hai
Kay Ajmer Ka Saaqi Ho, Baghdad Ka Maikhana.

Bedam Meri Kismat Mein Sajday Hain Usi Ghar Kay
Chota Hai Na Choutay Ga Sang E Dar E Janana.
Reading Time:
QADRI AASTANA SALAMAT RAHE NAAT LYRICS
April 29, 20200 Comments


QADRI AASTANA SALAMAT RAHE NAAT LYRICS




Qadri Aastana Salaamath Rahe ,
Mustafa Ka Gharana Salaamath Rahe
Pal Rahe Hain Jahaan Se Ye Dono Jahaan ,
Wo Saaqi Aastana Salaamath Rahe

Dard Mandon Sar Par Hai Saya Figan ,
Aap Ka Shahmiyana Salaamath Rahe

Tum Se Mansoob Hai Zindagi Ka Nisaab ,
Hashr Tak Ye Fasana Salaamath Rahe

Ye Nakirain Bole Mujhe Qabr Main
Mustafa Ka Dewana Salaamath Rahe

Hukum Tha Ke Aada Ho Namazein Pachas ,
Aapka Aana Jana Salaamath Rahe

Jisne Ta’aseer Ki Khatm-e-Ta’aseer Ki,
Wo Nabi Ka Deewana Salamat Rahe

Jinke Chehre The Ghumgeen Khush Hogaye,
Aapka Muskurana Salaamath Rahe

Etrat-E-Fatima Par UJAGAR Nisar,
Syeda Ka Gharana Salaamath Rahe
Reading Time:
jo ho chuka hai jo hoga huzoor jante hain naat lyrics
April 29, 20200 Comments
jho chuka hai jo hoga huzoor jante hain naat lyrics



Jo ho chuka hai jo hoga huzoor jante hen
Teri aata say Khudaya huzoor jaante hen

Khuda ko dekha nahin aur eik maan liya
Ke jantay thay sahaba huzoor jantay hein



Munafiqoon ka aqeeda woh gaibdaan nahin
Aur sahabiyoon ka aqeeda huzoor jantay hen

Aie ilm e ghaib kay munkir Khuda ko dekha hai?
Aur tujhay bhi kehna padega huzoor jante hen

Khabar bhi hai? ke khabar sabki hai unhein kab say
Ke jab na ab tha na kab tha huzoor jante hen

Kai unke haath mein kya kya tujhe khabar na mujhe
Khuda nay kitna nawaza huzoor jante hen

Woh mominoon ki to janoon say bhi kareeb huye
Kahan say kisnay pukara huzoor jante hen



Isiliye to sulaya hai apne pehlu mein
Ke yaar e ghar ka rutba huzoor jante hen

Umar nay tan say juda kar diya tha sar jis ka
Woh apna hai ke paraya huzoor jante hen

Nabi ka faisla na maan kar woh jaan say gaya
Mizaaj Umar ka hai kaisa huzoor jante hen

Wohi hai paikar e sharm o haiya o zul nuraian
Maqaam unki haya ka huzoor jante hen

Hen jiske moula huzoor uske hen Ali moula
Abu Turab ka rutba huzoor jante hen

Yeh khud shaheed hen betay nawasay potay shaheed
Ali ki shaan e yagana huzoor jante hen

Main unki baat karoon yeh nahin meri auqaat
Ke shaan e Fatma Zahra huzoor jante hen

Jina mein kaun hen sardaar nojawanoon kay
Hasan Hussain ke nana huzoor jante hen

Malaika ne kiya youn to sajda Adam ko
Dar asal kis ko tha sajda huzoor jante hen

Kahan marein gay Abu Jahal o Utba o Sheiba
Ke Jang e Badr ka naqsha huzoor jante hen
Reading Time:
Munawwar Meri Aankhon ko Naat Lyrics
April 29, 20200 Comments


Munawwar Meri Aankhon ko Naat Lyrics

Munawwar meri aankhon ko

Mere Shamso-dduha kardey

Gamon ki dhup mein woh

Sayae zulfe dutaa kardey



Jahan-bani ata karde

Bhari jannat hiba kardey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jisko jo chahain ata karde



Jahan mein unki chalti hai

Wo dam mein kya se kya kardein

Zameen ko aasman karde

Surayya ko sara karde



Faza main udne wale yhun

Na itraaein nidaa kardey

Wo jab chahain jise chahain

Use farmaan-rawa kardey

Nabi se jo hai be-gaana

Use dil se juda kardey

Pidar Madar Biradar

Jaano maal un par fida kardey



Suraka ko bhi sone key to

Woh kangan ata kardey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jisko jo chahain ata karde



Ata karde bula kar dey

Bitha kar de utha kar dey

Nabi Mukhtar-e-kull hey

Jaise jab chahe ata kardey



Jahan mein aam paygam e shahe

Ahmad Raza kardey

Palat kar pichhe dekhey

Fir se Tajdeed e wafa kardey



Khataein karne wala main

Ataein karne wale aap

Mere Aaqa mere haq main

Ise dastur saa kardey



Khayale hazrate Hassan sey

Ham naatein sajate hain

Kami reh jaaye to puree

Bareli ke Raza kardey



Muje kiya fikr ho Akhtar

Mere yaawar hain woh yaawar

Bala ho oh meri jo khud

Giriftare balaa karde



Tamannae dil e Ashraf

Bas itni hai sare Kausar

Jab Aaqa jame kausar dey

Labe Akdas laga kar dey
Reading Time:

Saturday, April 25, 2020

Hadees Sharif ( Ramazan )
April 25, 20200 Comments


Hadees e Mubaraka #2189


بسم الله الرحمن الرحيم
الصــلوة والسلام‎ عليك‎ ‎يارسول‎ الله ﷺ

Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه se riwayat hai Rasool e Kareem ﷺ ne irshad farmaya, 

"Jab Ramzaan ka mahina shuru hota hai to aasmaan ke darwaze khol diye jaate hai. Aur ek riwayat mein hai ki jannat ke darwaze khol diye jaate hai, aur jahannam ke darwaze bandh kar diye jaate hai aur shaitaan zanjeero mein jakad diye jaate hai."

Bukhari Shareef.

Reading Time:
Ramzan Hadees sharif
Sahri Ka Nayab Tohfa
Madina sharif ( image )

Saturday, April 11, 2020

Walidain ko Nasihat
April 11, 20200 Comments

محترم والدین و سرپرست                             


بچے آپکی نصیحت سے نہیں، آپکے عمل سے سیکھتے

 〰〰〰〰〰〰🌹〰〰〰〰〰〰

 آپکے بچے آپ کو گھر میں موبائل میں زیادہ مشغول دیکھتے ہیں یا قرآن میں؟*



 فلموں سے دل بہلاتا دیکھتے ہیں یا ذکر اللّٰہ سے؟*



 فجر پر اٹھتا دیکھتے ہیں یا دیر تک سوتا؟*



 نمازوں کا پابند دیکھتے ہیں یا لاپرواہ؟*



 دوسروں کی غیبت کرتا دیکھتے ہیں یا تعریف؟*



نوکروں سے بدتمیزی، حقارت، اور بد اخلاقی سے پیش آتا دیکھتے ہیں یا سب کو عزت دیتا ہوا؟*



رشتہ داروں کا خیال رکھتے اور صلہ رحمی کرتا دیکھتے ہیں یا بات بات پر تعلق توڑتا ہوا؟*



اکثر خوش مزاج اور مسکراتا ہوا دیکھتے ہیں یا لڑتا جھگڑتا اور اکھڑا مزاج؟*



 ہر وقت مال کی حرص میں مبتلا دیکھتے ہیں یا قناعت کرتے؟*



 ہر وقت لاحاصل کے غم میں دیکھتے ہیں یا حاصل شدہ کے شکر میں؟*



 آپ کو محنت اور جدوجھد کرتا دیکھتے ہیں یا سست، کاہل، بہانے باز اور کام چور؟*



 اپنی شریک حیات کے ساتھ محبت، عزت، اور بھلائی کا رویہ دیکھتے ہیں یا جھگڑے، حقارت اور بے رغبتی کا؟*



آپکو اپنے ماں باپ کی خدمت، فرمانبرداری، اور تکریم کرتا دیکھتے ہیں یا ان سے بدتمیزی اور بے اکرامی کرتا؟*



آپ کو سیگریٹ، پان، یا کوئی اور نشہ کرتا دیکھتے ہیں یا ورزش اور دیگر صحت مند سرگرمیوں میں؟*



 آپکا ہر عمل آپکی اولاد بغور دیکھ رہی ہے*



آپکی ہر عادت انکی شخصیت کا حصہ بن رہی ہے*



 آپ زبان سے لاکھ نصیحت کرلیں، اگر خود اچھی مثال قائم نہیں کریں گے تو اولاد صحیح راہ پر نہیں آئے گی*



 اس لئے اپنے لئے نہیں تو بچوں کی دنیا و آخرت کی خاطر، اپنی اصلاح پر توجہ دیں*



 اور اپنی اولاد کیلئے ایک بہترین مثال بنی
Reading Time:

Muhammad sadique razvi

Sunni Barelvi Hoo 💯

Islamic website ( Sunni aqeede walo ke liye )
( Muhammad sadique razvi )

Advertisement ke liye contact kare

sadiqueraza.sr@gmail.com